Ustad! Wo lafz he k kisi zamany myn jb liya jata to log adab sy khary ho jaty or seeny py hath rakh lety thy. Aik lafz jo kisi ki bhi zuban sy nikly to frma brdari or adab ka taqaza hr koi pura karta tha. Ic rishty ka pas or icka ayhsan har aik k mathy ka taj hua krta tha. Or agar lafz ka ic had drja tk adab kiya jata tha to unk samny kiya adab ka manzr hota hoga. Mashoor he k aik zamany myn badshah k do beton ny ustad ko juta khud deny k liye larai kr dali. Aik khta myn juta pysh krun ga ustad sahab ko to dusra khta k myn pysh krun ga or hal ye nikla k dono bhaiyon ny aik aik juta uthaya or yun mil kr khidmat kr k adab bja lae. Ustad k samny sar tasleem e khm kr liye jaty thy. Khamoshi ikhtiyar ki jati or behas o mubahisa sirf ijazat ki surat myn unsy kiya jata. Ustad ki khidmat krny ko log apna fakhr samjhty thy.
HUZOOR E PAK SAHIB E JUD O KAMAL صلی اللہ علیہ والہ وسلم jb mehfil myn tashreef frma hoty to sahaba kiram khub adab o ahteram ka muzahira frmaty. Intyhai tawajha k sath apki bat ko sunty. Samjh na ati to sawal kr lety or AP jawab anayat krty. APKI ZAT E BAKAMAL sy jo phool milty unhy zindagi k liye naseehat bna lety or amal pyra ho jaty. SAHABA E KIRAM رضی اللہ تعالٰی عنہم ki zindagi sy adab o aehtram or frmabrdari k pehlu likhy jany lagy to yakeen kryn hazaron kitabyn bhi km pr jayn gi.
Ye thi shan ki bat k jo hmary barry apny ustad sahab ko diya krty thy mgr aj ka haal intyhai alamnak he k ustad sy uska haq uska man uski shan sb cheen lia giya he. Inki ujrat, inki mhnat sy kai zada km kr di gai, inka adab o ayteram fi zamana km hota ja raha, unky ahsan frmamosh ho gae wo log jinki mehnat ky sily myn ye aj apna ghr bar chala rahy hn, ink talib e ilm ink samny unchi awaz krty hata k baz to ab larai pr bhi utar aty hn.
Or bary afsos k sath ye kehna pr raha he k ab to nikah ka rishta jora jany laga he ink sath. Sharm o haya ka taqaza or Islam ki di huvi BAAP/Maa jesi izat ko hi hmary ic muashry ny nazar andaz krny ki kohshish ki jo k sara sr qabil e muzamat he.
Myn ye khny pr majbur hun k Aj ka ustad logon k liye brae nam he bs wo ic rishty ka pas bhula bethy hn.
Haaliya dor k walidyn pr aik ye zimadari bhi aid hoti he k wo bachon ko Ustad k haqooq pury krny ki trf raghib kryn wrna unqareeb ham khsary myn hongy.
Yad rakhyn k duniya ka hr kamyab shaks kisi ustad sy Faizyab hua he.
Dated: 5/10/23
All rights are reserved by WajihRitx RG.
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- "Ustaad/Teacher" was written by Wajiha Mushtaq.
Pen name: Momin / Momina
Follow for more amazing content:
SlideShare: WajihRitx786
Instagram: wajihasandhu13
Facebook: WajihaSandhu